Hyderabadiz 2.0. Ka Adab Arz Hai

Welcome: This blog is about Hyderabad culture, land and people, "with a whole spectrum of experiences of Khatta (sour), Meetha (sweet), Pheeka (unsalted), Teekha (off), Khara (spicy), Kadva (bitter) brim with caring and lots of loving." as phrased by Mike Ghouse, a hyderabadi damad.

hyderabadi dholak ke geet by arjumand nazeer

Related Posts with Thumbnails

Sunday, December 23, 2012

Hyderabad Airlines - Just for fun


See also: funny Airlines announcement.
Introducing Hyderabad Airlines (Omer Daraz KhaN) -

air-hostess: Ruksana Begum Aadaab.
Ye Hyderabad Airlines ki udaan Dilli ke liye ravana hongi.
Aaapke kaptan Chand Pasha hain . aur mai, Rukhsana Begum. ...
Ab ye jahaaz hai so udnewala hai.
Samjhe nai?
Sab jane beltaan baandleo.

Bacchon ku khamoosh? bithaleo.
Aur kalma padlete baitho, kaiku bole toh, hamare kaptan aajeech pilot bane, aur ye unki pehli udaan hai.
Magar fikar nakko karo, apan kaisa toh bhi Dilli pahunch jayinge

Jahaaz jab tak teda rahinga beltaan kholo nakko aur baitheso jage se ?utho nakko.
Aap gir-vir gaye toh bhot musibat hongi.
Agar raste mein oxygen ki kami ho gayi toh oopar chhat se ek pipe giringa.
Usku dekh ke daro? nakko.
Kahin 'Saanp, saanp!' bolke, jahilon ke vaisa chillao nakko.
Usko naak ke andar? ghusake saans lete raho.

Aur koi bhi pareshani hui toh aapke seat ke oopar ek button hai, dekho.
Magar usku dabao nakko.
Uthko yaan saamne aako jo bhi haiso merese pooch leo:
pani ka ghada kahaan hai,
chaddar-takiya kahaan hai,
chai-samose milinge kya .
kuchhki bhi pooch le sakte

A.C. toh vaiseechh bhi kaam nai karrae.
Magar bomdiyaan nakko maro.
Tumare ghar me?bhi AC nai hai.
Nai so adat kaiku daalna?
Baad mein pareshani hoti.

Agar toilet rukrae nai to rokne ki poori koshish karo.
Nikal gaya toh dusre musafiron ku pareshaani ho jati.
Chambu bazu wale seat ke ?neeche hai.
Comot pe saleeqe se baitho, jahilon ke jaisa ukdu mat baitho - ye qadamcha nai hai, samjhe nai?

Ab thhodi der mein tabarruk batinga:
baghara khana aur kaddu ka dalcha.
Sabku milta,? pukara nakko karo.
Jage pe baithke topiyon mein le lo.

Shukriya sab logon ka Hyderabad Airlines pe udhne ke liye.
Mera naam Ruksana Begum

source: Orkut

======= Hyderabad Airlines air-hostess:

Aadaab.

Ye Hyderabad Airlines ki udaan Dilli ke liye ravana hongi.
Aaapke kaptan Chand Pasha hain . aur mai, Rukhsana Begum. ...
Ab ye jahaaz hai so udnewala hai.
Samjhe nai?
Sab jane beltaan baandleo.

Bacchon ku khamoosh bithaleo.
Aur kalma padlete baitho, kaiku bole toh, hamare kaptan aajeech pilot bane, aur ye unki pehli udaan hai.
Magar fikar nakko karo, apan kaisa toh bhi Dilli pahunch jayinge

Jahaaz jab tak teda rahinga beltaan kholo nakko aur baithe jage se utho nakko.
Aap gir-vir gaye toh bhot musibat hongi.
Agar raste mein oxygen ki kami ho gayi toh oopar chhat se ek pipe giringa.
Usku dekh ke daro nakko.
Kahin 'Saanp, saanp!' bolke, jahilon ke vaisa chillao nakko.
Usko naak ke andar ghusake saans lete raho.

Aur koi bhi pareshani hui toh aapke seat ke oopar ek button hai, dekho.
Magar usku dabao nakko.
Uthke yaan saamne aake jo bhi haiso merese pooch leo:
pani ka ghada kahaan hai,
chaddar-takiya kahaan hai,
chai-samose milinge kya .
ab dekho mein bhi bewa hoon na tau mera number day ditiyoon hona tau kuchhki bhi pooch le sakte

A.C. toh vaiseechh bhi kaam nai karrae.
Magar bomdiyaan nakko maro.
Tumare ghar me bhi AC nai hai.
Nai so adat kaiku daalna?
Baad mein pareshani hoti.

Agar toilet rukrae nai to rokne ki poori koshish karo.
Nikal gaya toh dusre musafiron ku pareshaani ho jati.
Chambu bazu wale seat ke neeche hai.
Comot pe saleeqe se baitho, jahilon ke jaisa ukdu mat baitho - ye qadamcha nai hai, samjhe nai?

Ab thhodi der mein tabarruk batinga:
baghara khana aur kaddu ka dalcha.
Sabku milta, pukara nakko karo.
Jaghe pe baithke topiyon mein le lo.

Chalo ab niklenge apan.