Monday, January 21, 2013

Ye Daulat Bhi Le Lo - Apnach iStyle

Original 'Yeh Daulat Bhi Le Lo'; Singer: Jagjit Singh, Chitra Singh; Lyricist: Ali Sardar Zafri (see below)***

GULF KI ZINDAGANI (Source: Charminar Connection)
Ye contract bhi lelo, Iqama bhi lelo
bhaley cheenlo mujhse meri ye naukri
magar mujhko lautado mehnath ki kamaayi
wo kaagaz pe likhi, wo bandish purani (esb).
Ye chotese kamron mein aat aat bandey
jo rahte hain jaisey tokri mein andey
wo chitti ka aana aur raathon ka rona
ye kapdon ka apne haathon se dhona
ye bathroom ki badboo, ye gandi rasoyi
bhulaye nahin bhool sakta hai expat koi
ye saari museebath hai lambi kahani
Kadi dhoop mein bagair A/C nikalna
ye paani, ye 7up, ye pepsi ka peena
ye superiors ki bathon pe ladna jhagadna
ye bimaar padna aur phirse sambhalna
ye majboor haalath ye bekasi ki yaaden
ye toote hue umeedon ki hai nishaani
Kabhi raat ka mushkilon se guzarna
darqaast likhna, chutti manzoor na hona
wo masoom bacchon ki chaahat hai apni
wo kaandhon pe zimmedari ki zanjeer apni
na marne ka gum hai, na haalat se bandhan
badi bebasi hai ye gulf ki zindagani
Ye contract bhi lelo, Iqama bhi lelo
bhaley cheenlo mujhse meri ye naukri
magar mujhko lautado mehnath ki kamaayi
wo kaagaz pe likhi, wo bandish purani.


Funny Poetry of the Month (Topic = Nokri (Job))(source)
yeh degree bhi lelo ye nokri bhi lelo
Bhale Chheen lo mujhse US ka Visa
magar mujhko lauta do college ki canteen
vo kam chaay ka pani vo teeKha samosaa
college ki canteen me hum sab the raja,
vo chaayvaalaa jise saare kehte the Khawja
vo Kahwja ke hathon ki 'bi2' chaay meethee
vo chupkese journal mein bheji hui chitthi
vo padhtehi chiththi uska tilmilaanaa
vo chehre ki laali vo aankhon ka gussaa...
kadi dhoop mein apne ghar se nikalnaa
vo project ki Khatir shahar bhar bhataknaa
vo lecture mein doston ki proxy lagaanaa
vo sar ko chidhanaa ,vo aeroplane udaanaa
vo submission ki raton ko jagnaa jagaanaa
vo orals ki khahani vo Lab-on ka kissaa....
bimaari ka detention ke time bahanaa
vo doosron ke assignments ko apnaa banaanaa
vo seminar ke din pairoka chhatpatanaa
vo workshop mein din raat pasinaa bahanaa
vo exam ke din ka bechain maahaul
par vo maa ka vishvas Teachar ka Bharosaa
colleg ki wo lambisi raatein
vo doston se thele pe pyaari si baatein
vo gathering ke din ka ladnaa Jhagadnaa
vo ladkiyon ka yuhin hamesha akadnaa
bhulaaye nahin bhool sakta hai koi
jivan ka ek atoot hissaa...
vo college ki yaaden, vo college ke din
koi to louta de mere college ke din........

Baroda I Miss u (source: Shilp Choksi..)

Yeh Passport bhi le lo.. yeh PR bhi le lo..
Bhale chheen lo mujhse mera yeh citizenship..
Continue reading Shilp Choksi..)

On the same shelf:

  • Dollar Kamaye Bina Nahi Aaonga
  • arre, yaar, tabiyat hai, kyon rota hai, khamankha ! -- naukri hai, phir kyon rota hai, khamankha !


    ---------


    ***Original [Source]
    Ye daulat bhi le lo, ye shohrat bhi le lo
    Bhale cheen lo mujhse meri jawaani Magar mujhko lauta do bachchpan ka saawan
    Wo kaagaz ki kasthi wo baarish ka paani
    Mohalle ki sabse purani nishaani
    Wo budhiya jise bachche kehte the naani
    Wo naani kee baaton mein pariyon ka dera
    Wo chehre ke jhuriyon mein sadiyon ka phera
    Bhulaaye nahin bhool sakta hai koi
    Wo choti see raaten wo lambi kahaani
    Kadi dhoop mein apne ghar se nikalna
    Wo chidiya wo bulbul wo thithli pakadna
    Wo gudiya ki shaadi pe ladna jhagadna
    Wo jhoolon se girna, wo gir ke sambhalna
    Wo pithal ke challon ke pyaare se tohfe
    Wo tuti hui chudiyon ki nishaani
    Kabhi reit ke oonche tilon pe jaana ...
    Gharonde banana, banaa ker mitaana
    Wo maasoom chaahat ki tasveer apni
    Wo khwabon khilono ki taabir jaageer apni
    Na duniya ka gham tha na rishton ke bandhan
    Badi khoobsoorat wo zindgaani

  • No comments:

    Post a Comment